Dard~ki~intahaa
Jab pahli baar ishq ka meri zindagi mein aagaz hua Jab pahli nazar mein mera ishq unke liye parvaz hua
Vo lamha badaa hi suhana tha jab mera ishq meri nazaro se bayaan hua Na kuch vo bole na kuch hum bas ishq ka rang chadtne lagaa
Or inh fizao mein mahakna shuru hua
Shuruvat ishq ki bhaut hasin thi unse huyi chand mulaqaate bahut rangin thi
Phir dhire dhire ishq~e~talab ka nasha badne laga mera dil had se zayda unki or badne lga
Humara dil chand palo mein unka ho gya
Samjh hi na paaye hum kambkhat kab unki nigaho mein jakar kho gya
Phir vo pal aaya jab izahar ka zikar zuban par lana tha Jis pal unhe humnein apni takdeer mein khuda se likhwana tha
Sirf Humein hi nhi unhe bhi chadi ishq ki khumari thi Humnein to pal bhar mein ishq bayaan kar diya unhe
Ab ishq kabul karne ki unki baari thi ishq to kabula unho ne magar us ishq par naam na humara tha
Aaj pahli baar unki nazaro mein dekh lga aise humara dil to tha unka magar unka dil na kabhi humara tha
Dard to bahut hua unki bewafaai dekh kar magar humein bhi ishq ke vaado ko nibhana chor diya us bewafaa ko us gair ke liye humnein bhi jiske liye usne humein gair banaa kar chor diya
Ab aalam kuch aise hai janab dard~e~intahaa mein jiye ja rahe hai
Unke diye zakhamo ko chupa ashko ko piye ja rahe hai
Gãžãľ kôčhâŕ