DARINDE HAZAAR HAI || Nirbhaya Pain Shayari

     

 DARINDE HAZAAR HAI

A poem about darinde hazaar hai a hindi poem written with a very painful heart, its a sad painful poem about justice for nirbhaya or whoever goes through such a painful moment. 

Na mahfoos ghar par Na aazad bahar hai

Door rehna sikhate hai paraayo se par apne hi ghar duryodhan avatar hai
Hum pankh faila to udhna chahte hai
Par noch khane ko darinde hazaar hai….!!
Hum apne khawabo ko haqiqat karna nikalte hai
Tab Ye humein har gali nukad par milte hai
Chhal kapat itna ki nazaro se hi kar dete izzat ko taar taar hai
Hum pankh faila to udhna chahte hai
Par noch khane ko darinde hazaar hai…!!
Kai baar roka jaata hai na jaane kapdo ke lekar Kitni dafaa toka jata Hai
Humari hifaazat ke naam par ye samaaj humein char diwari mein kaid karne ko teiyaar hai
Galat niyat ghatiya soch or in darindo par na karta koi vaar hai
Hum pankh faila to udhna chahte hai
Par noch khane ko darinde hazaar hai…..!!


A painful hindi poem  DARINDE HAZAAR HAI 


          

Related Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *